اردو हिंदी
Man-o-tu ka hijab uThne na de ai jaan-e-yaktai | Shaahi Shayari
man-o-tu ka hijab uThne na de ai jaan-e-yaktai

Ghazal

Man-o-tu ka hijab uThne na de ai jaan-e-yaktai

Hafeez Hoshiarpuri

;

man-o-tu ka hijab uThne na de ai jaan-e-yaktai
kahin aisa na ho ban jaun KHud apna tamannai

wahi main hun wahi hai tere gham ki kar-farmai
kabhi tanhai mein mahfil kabhi mahfil mein tanhai

KHalish-angez hai wo aalam-e-jazb-o-gurez ab tak
teri achchhi buri har baat yun to mujh ko yaad aai

qusur-e-zarf samjhun ya shour-e-lazzat-andozi
tere lutf-o-karam mein tishnagi hi tishnagi pai

na chhoDa daman-e-hosh-o-KHirad dil ne mohabbat mein
saza-e-dil hisar-e-agahi ki qaid-e-tanhai