man ki mai ho to piyale nahin dekhe jate
ishq ho jae to chehre nahin dekhe jate
main bigaDte hue bachchon ko bhi kab DanTta hun
mujh se rote hue bachche nahin dekhe jate
hamla-awar ko main ab KHud hi riyasat de dun
apne logon pe ye hamle nahin dekhe jate
tairna aata hai to chhoD mujhe tu to nikal
mauqa aisa ho to wade nahin dekhe jate
us ki KHamoshi andhere ka sabab banti hai
mujh se ab aur andhere nahin dekhe jate
apne kashmiri labon se tu gira sharm ke band
Dubne waqt kinare nahin dekhe jate
main koi hath bhi thamun to ye dil thamta hai
mujh se qismat ke sitare nahin dekhe jate
Ghazal
Man ki mai ho to piyale nahin dekhe jate
Waqar Khan