man ke mandir mein hai udasi kyun
nahin aai wo dew-dasi kyun
abr barsa baras ke khul bhi gaya
rah gai phir zamin pyasi kyun
ek KHushi ka KHayal aate hi
chha gai zehn par udasi kyun
zindagi bewafa azal se hai
phir bhi lagti hai ba-wafa si kyun
aisi fitrat-shikar-duniya mein
itni insan-na-shanasi kyun
kyun nahin ek zahir-o-baatin
aadmi ho gae siyasi kyun
gham-gusari KHulus mehr-o-wafa
ho gae hain ye phul basi kyun
ek haqiqat hai jab watan ki talab
phir mohabbat karen qayasi kyun
ye mulaqat ye sukut ye sham
ibtida mein ye intiha si kyun
milne wale bichhaD bhi sakte hain
teri aankhon mein ye udasi kyun

Ghazal
Man ke mandir mein hai udasi kyun
Sahar Ansari