man ke bargad tale angaron ki mala bhi japi
mujh se gautam ki tarah aag mein champa na khili
raat tanhai ne kamre mein jo karwaT badli
nind aankhon ko kisi sanp ke phan jaisi lagi
mere hi sans se mere hi badan ki chadar
kaun samjhae kise aae yaqin kaise jali
is bhare shahr mein apnaya kisi ne na jise
main ne dekha to 'razi' lash wo meri nikli
Ghazal
Man ke bargad tale angaron ki mala bhi japi
Ahmad Razi Bachhrayuni