malbus-e-ghubar yaad rakhna
ye rahguzar yaad rakhna
ek sham-e-KHizan yahin kahin hai
ai subh-e-bahaar yaad rakhna
hum kashti-e-ishq ke musafir
utre nahin par yaad rakhna
ai zaKHma-waran-e-barbat-e-dil
TuTe hue tar yaad rakhna
patjhaD ki hawaen chiKHti hain
kya saut-e-hazar yaad rakhna
hum jate hain bar-e-gham uThae
ai shahr-e-nigar yaad rakhna
ibrat ka maqam hai ye duniya
viran dayar yaad rakhna
ai wadi-e-gul ko jaane wale
raston ke ye KHar yaad rakhna
milti hai ghamon se bhi basirat
zaKHmon ka shumar yaad rakhna
bachpan ke makan ka naKHl-e-hamraaz
ye haar singhaar yaad rakhna
ye harf hai raushni-e-farda
harf sar-e-dar yaad rakhna
shayad main ye KHwab bhul jaun
tum ai mere yar yaad rakhna
Ghazal
Malbus-e-ghubar yaad rakhna
Farasat Rizwi

