malal zard-qabai ko dho raha hoga
ragon ka surKH kahin sabz ho raha hoga
wo jis ke dam se gulabi thi KHwab-gah meri
na jaane kis ke dhundlakon se so raha hoga
mere safed kisi ka ruju man bhi le
ki ab nahin wo siyah raaz go raha hoga
wo kesari jo meri oDhni pe khul na saka
ab apna bich kahin aur bo raha hoga
jo surmai mein khila ja raha hai sham Dhale
kahin to apna sunahra samo raha hoga
male-dale se paDe hain jo nilgun lamhe
inhi ka zoam samawat ko raha hoga
paDa hai rang se aari bunat se udhDa hua
guzishta nuqrai jhilmil ko ro raha hoga
faza yunhi to nahin malgaji hui jati
koi to KHak-nashin hosh kho raha hoga
qatil-e-rang na hoga wo sair-chashm kabhi
wafa ki dudhiya banhon mein jo raha hoga
Ghazal
Malal zard-qabai ko dho raha hoga
Hamida Shahin