malal umr-e-gurezan ka karte rahte hain
ye log zinda nahin rose marte rahte hain
hawas ka zor kisi taur kam nahin hota
qanaaton ke gharaunde bikharte rahte hain
diye bujhana girana gulon ko shaKHon se
hawa ke hath sada kaam karte rahte hain
ye dil gae hue logon ki yaad se raushan
is aaine mein bahut aks ubharte rahte hain
kisi tasalsul-e-zanjir ke siwa kya hain
jo log rose nazar se guzarte rahte hain
gali mein ghum rahe hain firaq ke aaseb
makan band kiye hum bhi Darte rahte hain
kisi bhi KHwab ki takmil ghair-mumkin hai
jo kaam ho nahin sakta wo karte rahte hain
Ghazal
Malal umr-e-gurezan ka karte rahte hain
Asad Badayuni