malal hote hue dil pe kuchh malal nahin
KHayal-e-dost se achchha koi KHayal nahin
jise zawal na ho wo koi kamal nahin
kamal-e-gham ko hamare magar zawal nahin
jafaen kar ke jo wo sust sust baiThe hain
unhen malal ye hai mujh ko kuchh malal nahin
ye kya nahin nigah-e-fitna-saz teri kami
hamare jazba-e-gham mein ab ishtial nahin
kaho ghamon se ki be-fikr ab dilon mein rahen
KHushi ka aaj ki duniya mein ehtimal nahin
ye aur baat taras hi na ho kisi dil mein
chhupa hua to zamane se mera haal nahin
giri jo barq to apna bana raha hai mujhe
ye kya hai 'ashk' agar baghban ki chaal nahin

Ghazal
Malal hote hue dil pe kuchh malal nahin
Syed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali