اردو हिंदी
Malal-e-ghuncha-e-tar jaega kabhi na kabhi | Shaahi Shayari
malal-e-ghuncha-e-tar jaega kabhi na kabhi

Ghazal

Malal-e-ghuncha-e-tar jaega kabhi na kabhi

Syed Amin Ashraf

;

malal-e-ghuncha-e-tar jaega kabhi na kabhi
wo KHak uDa ke guzar jaega kabhi na kabhi

main lala-e-sar-e-sahra makan nahin rakhta
ki dasht hai mere ghar jaega kabhi na kabhi

barahna shaKH hawa zard be-zamin shajar
parinda su-e-safar jaega kabhi na kabhi

kahin bhi tair-e-awara ho magar tai hai
jidhar kaman hai udhar jaega kabhi na kabhi

kisi ke hath se TuTe na shisha-e-sad-rang
ye reza reza bikhar jaega kabhi na kabhi

guzishtani hai ye sab kuchh jo hone wala hai
wo hadsa bhi guzar jaega kabhi na kabhi

wo nau-bahaar bhi aafat hai dasta-e-sumbul
za-farq ta-ba-kamar jaega kabhi na kabhi

ye ishq hai ki KHumar-e-talab hai kya malum
KHumar hai to utar jaega kabhi na kabhi