mal KHun-e-jigar mera hathon se hina samjhe
main aur to kya kosun par tum se KHuda samjhe
samjhane ki jo baaten kin main ne dila tujh se
ai aql ki dushman so teri to bala samjhe
dil mein mere chuTki li aisi hai ki dard uTTha
maqul che KHush ai wah aap is ko ada samjhe
ai bu-lahab-e-naKHwat sidhe hain agar sach-much
to aaj se sahab ko hum apna chacha samjhe
sahab ne na ki yari wahshat se pari se to
ai shaiKH-e-junun tum ko hum KHwaja-sara samjhe
hangama-e-mahshar bhi gar samne aaya to
us ko bhi tamashai ek sang naya samjhe
wo dasht-e-mohabbat mein rakkhe qadam ai 'insha'
sar apne ko aage hi jo tan se juda samjhe
Ghazal
Mal KHun-e-jigar mera hathon se hina samjhe
Insha Allah Khan u0027Inshau0027