maktab ki aashiqi bhi tariKH-e-zindagi thi
fazil tha ghar se majnun laila paDhi likhi thi
farhad jaan dega shirin tabah hogi
ye to KHuda ke ghar se goya kahi badi thi
qudrat ke daere mein us waqt but bane the
jab neamat-e-takallum taqsim ho chuki thi
kabe mein hum ne ja ke kuchh aur haal dekha
jab but-kade mein pahunche surat hi dusri thi
matam mein mere 'muztar' wo kis ada se aaya
aankhon mein kuchh nami thi honTon pe kuchh hansi thi
Ghazal
Maktab ki aashiqi bhi tariKH-e-zindagi thi
Muztar Khairabadi