makr-e-hayat ruKH ki qaba bhi utar di
hum ne taDap taDap ke ye shab bhi guzar di
ab hum pe KHak dekhiye kis dasht ki paDe
yan to azan-e-subh sar-e-auj-e-dar di
ab tum karo suragh-e-jamal-e-butan talash
hum ne tumhein amanat-e-chashm-o-azar di
dekhi hain yun bhi chaaragaron ki karamaten
zaKHm-e-lahu-lahu ko dawa KHar KHar di
yun bhi kiya hai hum ne haq-e-dilbari ada
apni hi jit apne hi hathon se haar di
'salim' KHusha hai us ko bahut tujh pe e'timad
jis ne tujhe aziyyat-e-dil be-shumar di
Ghazal
Makr-e-hayat ruKH ki qaba bhi utar di
Farhan Salim