اردو हिंदी
Makin yahin ka hai lekin makan se bahar hai | Shaahi Shayari
makin yahin ka hai lekin makan se bahar hai

Ghazal

Makin yahin ka hai lekin makan se bahar hai

Hasan Abbas Raza

;

makin yahin ka hai lekin makan se bahar hai
abhi wo shaKHs meri dastan se bahar hai

utar bhi sakta hai sartan ki tarah mujh mein
wo ishq jo mere wahm-o-guman se bahar hai

sawal ye nahin mujh se hai kyun gurezan wo
sawal ye hai ki kyun jism o jaan se bahar hai

na jaane kaise taraazu hua mere dil mein
wo ek tir jo teri kaman se bahar hai

mere wajud ka aaina puchhta hai mujhe
ye aks kab se tere KHak-dan se bahar hai

KHuda-gawah wo is darja KHub-surat thi
ki mera shauq-e-tamasha bayan se bahar hai

hamari jeb mein KHwabon ki rezgari hai
so len-den hamara dukan se bahar hai

mera amin koi tha to wo mera ham-zad
aur ab wahi mere pasmandgan se bahar hai

'hasan' mein hiddat-e-hijran se jal bhi sakta hun
ki mera jism tere saeban se bahar hai