makin ko makan se nikaliye
ye nuqta aasman se nikaliye
hamare sath kijiye mukalima
to KHud ko darmiyan se nikaliye
KHazana rahne dijiye zamin mein
hawas ko dastan se nikaliye
nami jagah bana rahi hai aankh mein
ye tir ab kaman se nikaliye
hamari chup ko sunte jaen ghaur se
hamari baat kan se nikaliye
fazaon mein panap rahi hain sazishen
so baal-o-par bhi dhyan se nikaliye
samay guzar raha hai sans rok kar
sadi ko imtihan se nikaliye
nikal na jae baat dusri taraf
lakir ek zaban se nikaliye
KHarab ho rahi hai jins-e-arzu
ye mal ab dukan se nikaliye

Ghazal
Makin ko makan se nikaliye
Sarfraz Zahid