makin aur bhi hain makan aur bhi hain
yahi do-jahan kya jahan aur bhi hain
maqamat-e-dair-o-haram se guzar kar
teri azmaton ke nishan aur bhi hain
kiye jaiye sai-e-tasKHir-e-fitrat
abhi raaz-ha-e-nihan aur bhi hain
zara KHatm ho kar tauq-o-salasil
zaban par liye dastan aur bhi hain
miTa do mera naqsh-e-hasti nahin gham
meri zindagi ke nishan aur bhi hain
sameT apna daman na aaghosh-e-manzil
ki rahraw pas-e-karwan aur bhi hain
nahin sirf zahid hi jalwon ka mahram
tere husn ke raazdan aur bhi hain

Ghazal
Makin aur bhi hain makan aur bhi hain
Raza Jaunpuri