maKHmur chashmon ki tabrid karne kun shabnam hai sardab shoron ki manind
rupe ke thaale safedi hai nargis ki zardi hai zar ke kaToron ki manind
darai-e-surKH in jama-zebon ne aashiq ke lohu se rangin kiye hain
be-KHud ho kahta hun kya KHub lagte hain mere kaleje ke qoron ki manind
ai dast-e-mashata tun jab sen pahuncha hai us zulf-e-mushkin ki shana-e-kashi kun
aashiq ki aahon ke in saf rishton mein girhan hain ungli ki poron ki manind
ye tangi unhon ke dahan ki na pawega apne gareban mein sar ko nawa tun
ai ghuncha baghi ho mahtab-ruon sin mat KHanda-pan kar chakoron ki manind
dil ke KHazane sen shayad lejawega ji ke jawahar kun ayyariyon sen
har dam KHayal us ka aankhon ke rauzan sin aata hai chhup-chhup ki choron ki manind
gham ke pahaDon kun sar par uThae hain wahshat ke panjon sin aahon ne meri
dil ke akhaDe mein ab kaun ham-sar hai un pahalwanon ke zoron ki manind
parwana rangon ke urs-e-judai mein sair-e-charaghan hai jaan-e-'siraj' aaj
raushan fatile hain aahon ke shoalon ke sine mein kore sakoron ki manind
Ghazal
MaKHmur chashmon ki tabrid karne kun shabnam hai sardab shoron ki manind
Siraj Aurangabadi