اردو हिंदी
MaKHluq hun ya Khaaliq-e-maKHluq-numa hun | Shaahi Shayari
maKHluq hun ya Khaaliq-e-maKHluq-numa hun

Ghazal

MaKHluq hun ya Khaaliq-e-maKHluq-numa hun

Mushafi Ghulam Hamdani

;

maKHluq hun ya KHaliq-e-maKHluq-numa hun
malum nahin mujh ko ki main kaun hun kya hun

hun shahid-e-tanzih ke ruKHsar ka parda
ya KHud hi mushahid hun ki parde mein chhupa hun

hai mujh se gareban-e-gul-e-subh moattar
main itr-e-nasim-e-chaman o baad-e-saba hun

gosh-e-shunwa ho to mere ramz ko samjhe
haq ye hai ki main saz-e-haqiqat ki nawa hun

hasti ko meri hasti-e-alam na samajhna
hun hast to par hasti-e-alam se juda hun

hun sina-e-ushshaq mein soz-e-jigar-o-dil
aur dida-e-mashuqan mein kya naz-o-ada hun

ye kya hai ki mujh par mera uqda nahin khulta
har-chand ki KHud uqda o KHud uqda-kusha hun

ai 'mushafi' shanen hain meri jalwagari mein
har rang mein main mazhar-e-asar-e-KHuda hun