makan se la-makan tak aa gae hain
kahan se hum kahan tak aa gae hain
jahan jalte hain par hosh-o-KHirad ke
junun mein hum wahan tak aa gae hain
bhaDak uTThi hai kaisi aatish-e-gul
sharare aashiyan tak aa gae hain
KHulus-e-dosti par marne wale
hayat-e-jawidan tak aa gae hain
hamari gum-rahi manzil nishan hai
tajassus mein kahan tak aa gae hain
wahan dil mein mohabbat ki kami hai
jahan shikwe zaban tak aa gae hain
tamasha-e-bahaar-e-gul ki shaida
bahaar-e-gul-ruKHan tak aa gae hain
maqam apna nahin malum lekin
jahan tum ho wahan tak aa gae hain
kisi ke jalwa-ha-e-hairat-angez
nazar ke imtihan tak aa gae hain
na pahunche KHana-e-dil ke makin tak
zamin se aasman tak aa gae hain
guzar kar hum KHudi wahm-o-guman se
KHuda jaane kahan tak aa gae hain
'rishi' manzil nahin ab dur hum se
ghubar-e-karwan tak aa gae hain
Ghazal
Makan se la-makan tak aa gae hain
Rishi Patialvi

