makan se dur kahin la-makan se hota hai
safar shuru yaqin ka guman se hota hai
wahin kahin nazar aata hai aap ka chehra
tulu chand falak par jahan se hota hai
hum apne bagh ke phulon ko noch Dalte hain
jab iKHtilaf koi baghban se hota hai
mujhe KHabar hi nahin thi ki ishq ka aaghaz
ab ibtida se nahin darmiyan se hota hai
uruj par hai chaman mein bahaar ka mausam
safar shuru KHizan ka yahan se hota hai
zawal-e-mausam-e-KHush-rang ka gila 'asim'
zamin se to nahin aasman se hota hai
Ghazal
Makan se dur kahin la-makan se hota hai
Asim Wasti