اردو हिंदी
Makan se dur kahin la-makan mein baiTh gai | Shaahi Shayari
makan se dur kahin la-makan mein baiTh gai

Ghazal

Makan se dur kahin la-makan mein baiTh gai

Moid Rashidi

;

makan se dur kahin la-makan mein baiTh gai
badan ki aag tilismat-e-jaan mein baiTh gai

sulagti dhup mein jal kar faqir-e-shab teri KHak
kyun KHan-qah-e-shab-e-be-karan main baiTh gai

kyun aaj dil ke haram mein namaz-e-gham na hui
kyun ek chup si sada-e-azan mein baiTh gai

hamari subh hujum-e-bala ki nazr hui
hamari sham bhi dasht-e-guman main baiTh gai

kisi ka jism shikar-e-nahang-e-waqt-e-KHizan
kisi ki sans faza-e-giran mein baiTh gai

kahin safar ki risalat kahin thakan ki hadis
ye kashmakash bhi 'rashidi' dhuan mein baiTh gai