majnun ka jo ai laila juta na phaTa hota
pichhe tere naqe ke kyun barahna-pa hota
be-faeda ghul machta kya jaaniye kya hota
gar un ki gali hoti aur mera gala hota
hota agar aadam ka duniya mein koi bhai
nasl-e-bani-adam ka wallah chacha hota
gar qais ki wahshat ka kuchh unT asar leta
laila ko gira deta aur bhag khaDa hota
muflis se ziyaada-tar munim hi gursana hain
kyun rose hawa khate gar peT bhara hota
wo ban ke masiha bhi achchha jo na kar sakte
bimar tere haq mein ye aur bura hota
madum dahan hota mafqud kamar hoti
mashuq 'zarif' aisa hota bhi to kya hota
Ghazal
Majnun ka jo ai laila juta na phaTa hota
Zareef Lakhnavi