majma mere hisar mein sailaniyon ka hai
jangal hun mera farz nigahbaniyon ka hai
qatre gurez karne lage raushnai ke
qissa kisi ke KHun ki arzaniyon ka hai
KHush-rang pairahan se badan to chamak uThe
lekin sawal ruh ki tabaniyon ka hai
rone se aur lutf wafaon ka baDh gaya
sab zaiqa phalon mein nae paniyon ka hai
sau bastiyan ujaDiye dil ko na toDiye
ye sang-e-mohtaram kai peshaniyon ka hai
mahfuz rah sakenge safine kahan talak
maujon mein band-o-bast hi tughyaniyon ka hai
hoti hain dastiyab baDi mushkilon ke baad
'shahid' hayat nam jin aasaniyon ka hai
Ghazal
Majma mere hisar mein sailaniyon ka hai
Shahid Meer