majlis-e-aish garm ho ya-rab
yar agar howe sham-e-bazm-e-tarab
KHun-e-dil aansuon mein sarf hua
gir gai ye bhari gulabi sab
mohr hai dagh-e-gham sin dil ki baraat
naqd-e-didar hai hamari talab
chahiye zahidon kun hujra-e-tang
bagh-e-ashiq hai wusat-e-mashrab
dil mera hai tere taghaful sin
andalib-e-gul-e-bahaar ghazab
dil ki jagir hai jamal-abaad
jab sin paya hai ishq ka mansab
na mile jab talak visal us ka
tab talak faut hai mera matlab
gul ki manind mat pareshan ho
band kar misl-e-ghuncha apne lab
shama o parwana sin suna hai 'siraj'
sidq-e-dil sin adab hai tark-e-adab
Ghazal
Majlis-e-aish garm ho ya-rab
Siraj Aurangabadi