اردو हिंदी
Majburiyon ka pas bhi kuchh tha wafa ke sath | Shaahi Shayari
majburiyon ka pas bhi kuchh tha wafa ke sath

Ghazal

Majburiyon ka pas bhi kuchh tha wafa ke sath

Saleem Ahmed

;

majburiyon ka pas bhi kuchh tha wafa ke sath
wo raste se phir gaya kuchh dur aa ke sath

qurb-e-badan se kam na hue dil ke fasle
ek umr kaT gai kisi na-ashna ke sath

sath us ke rah sake na baghair us ke rah sake
ye rabt hai charagh ka kaisa hawa ke sath

main jhelta raha hun azab is ka umr bhar
bachpan mein ek ahd kiya tha KHuda ke sath

pahle to ek KHana-e-viran ka shor tha
ab dil bhi gunjta hai KHarosh-e-hawa ke sath

ye rang-e-dast-e-naz yunhi to nahin 'salim'
dil ka lahu bhi sarf hua hai hina ke sath