majbur to bahut hain mohabbat mein ji se hum
ye aur baat hai na kahen kuchh kisi se hum
ek sham ham-suKHan the chaman mein kali se hum
yaadash-ba-KHair phir na mile zindagi se hum
allah re wo waqt wo majburi-e-hayat
ro ro ke ho rahe the juda jab kisi se hum
taklif-e-iltifat na kar ai nigah-e-naz
ab mutmain hain apne gham-e-zindagi se hum
hain yaad us nazar ki taghaful-shiariyan
ba-wasf-e-irtibaat bhi the ajnabi se hum
baDhti hi ja rahi hain abas bad-gumaniyan
na-ashna nahin hain teri barhami se hum
ek ek ada-e-husn-e-gurezan nazar mein hai
pamal ho rahe hain baDi be-ruKHi se hum
har-su hai ek aalam-e-wahshat shab-e-firaq
ghabra rahe hain silsila-e-tirgi se hum
ghaarat kiya hai jis ne hamara sukun-e-dil
'muztar' sukun-e-dil ke hain KHwahan usi se hum
Ghazal
Majbur to bahut hain mohabbat mein ji se hum
Ram Krishn Muztar