majbur hun gunah kiye ja raha hun main
fard-e-amal siyah kiye ja raha hun main
go jaanta bhi hun tera milna muhaal hai
is par bhi teri chah kiye ja raha hun main
tera fareb-e-wada bahut kaamyab hai
aankhon ko farsh-e-rah kiye ja raha hun main
taqsim ho rahi hai meri wusat-e-nazar
zarron ko mehr-o-mah kiye ja raha hun main
tera karam hi is ka muharrik na ho kahin
kya jaane kyun gunah kiye ja raha hun main
mujh ko KHabar hai shaiKH tujhe kuchh KHabar nahin
kyun zindagi tabah kiye ja raha hun main
'simab' din se bhi mere dil ko ishq hai
duniya se bhi nibah kiye ja raha hun main
Ghazal
Majbur hun gunah kiye ja raha hun main
Seemab Batalvi