majbur hain par itne to majbur bhi nahin
jab un ko bhul jaen wo din dur bhi nahin
kuchh to likhi hain apne muqaddar mein gardishen
kuchh pyar mein nibah ka dastur bhi nahin
main ne suna hai tark-e-talluq ke baad se
afsurda gar nahin to wo masrur bhi nahin
dekhi hain main ne aisi bhi dukhiya suhaganen
byahi hain aur mang mein sindur bhi nahin
ye jis ka zahr ruh mein meri utar gaya
halka sa ghaw tha koi nasur bhi nahin
us ki nazar se kyun kabhi guzre meri ghazal
aisi to KHas main koi mashhur bhi nahin
Ghazal
Majbur hain par itne to majbur bhi nahin
Shabnam Shakeel

