اردو हिंदी
Main zoaf se jun naqsh-e-qadam uTh nahin sakta | Shaahi Shayari
main zoaf se jun naqsh-e-qadam uTh nahin sakta

Ghazal

Main zoaf se jun naqsh-e-qadam uTh nahin sakta

Shah Naseer

;

main zoaf se jun naqsh-e-qadam uTh nahin sakta
baiTha hun sar-e-KHak pe jam uTh nahin sakta

ai ashk-e-rawan sath le ab aah-e-jigar ko
aashiq kahin be-fauj-o-alam uTh nahin sakta

saqf-e-falak-e-kohna mein kya KHak lagaun
ai zoaf-e-dil is aah ka tham uTh nahin sakta

sar marka-e-ishq mein aasan nahin dena
gaDe hai jahan shama qadam uTh nahin sakta

hai jumbish-e-mizhgan ka kisi ke jo tasawwur
dil se KHalish-e-KHar-e-alam uTh nahin sakta

dil par hai mere KHema-e-har-abla asnad
kya kijiye ki ye lashkar-e-gham uTh nahin sakta

har ja mutajalla hai wo bar parda-e-ghaflat
ai moatakif-e-dair-o-haram uTh nahin sakta

yun ashk zamin par hain ki manzil ko pahunch kar
jun qafila-e-mulk-e-adam uTh nahin sakta

ro ro ke likha KHat jo use main ne to bola
ek harf sar-e-kaghaz-e-nam uTh nahin sakta

har dam lab-e-fawwara se jari ye suKHan hai
pani na zara jis mein ho dam uTh nahin sakta

main uTh ke kidhar jaun Thikana nahin koi
mera tere kuche se qadam uTh nahin sakta

mehndi to sarasar nahin panw mein lagi hai
tu bahr-ayaadat jo sanam uTh nahin sakta

bimar tera surat-e-taswir-e-nihaali
bistar se tere sar ki qasam uTh nahin sakta

main shah-sawar aaj hun maidan-e-suKHan mein
rustam ka mere aage qadam uTh nahin sakta

kya neza hilawega koi ab ki kisi se
yan tausan-e-rahwar-e-qalam uTh nahin sakta

jun ghuncha 'nasir' us but-e-gul-ru ki jo hai yaad
yan sar ho gareban se baham uTh nahin sakta