main yun to nahin hai ki mohabbat mein nahin tha
albatta kabhi itni musibat mein nahin tha
asbab to paida bhi hue the magar ab ke
us shoKH se milna meri qismat mein nahin tha
tai main ne kiya din ka safar jis ki hawas mein
dekha to wahi raat ki dawat mein nahin tha
ek lahar thi ghaeb thi jo tufan-e-hawa se
ek lafz tha jo KHat ki ibarat mein nahin tha
kaifiyaten sari thin faqat hijr tak us ke
main samne aa kar kisi haalat mein nahin tha
kya rang the lahrae the jo rah-rawi mein
kya nur tha jo sham-e-hidayat mein nahin tha
laghzish hui kuchh mujh se bhi tughyan-e-talab mein
kuchh wo bhi 'zafar' apni tabiat mein nahin tha
Ghazal
Main yun to nahin hai ki mohabbat mein nahin tha
Ahmad Zafar