main yun to KHwab ki tabir sochta bhi nahin
magar wo shaKHs mere rat-jagon ka tha bhi nahin
mera nasib wo samjha na baat ishaaron ki
mera mizaj ki main saf kah saka bhi nahin
baDi giran hai meri jaan ye kaifiyat mat puchh
ki in labon pe gila bhi nahin dua bhi nahin
ye zindagi ke taaqub mein roz ka phirna
agarche is tarah jine ka hausla bhi nahin
ye be-niyaz tabiat ye be-KHudi ke rang
hum apne aap se KHush bhi nahin KHafa bhi nahin
us ek shakl ko jis din se kho diya hai 'asad'
mere dariche se ab chand jhankta bhi nahin
Ghazal
Main yun to KHwab ki tabir sochta bhi nahin
Subhan Asad