اردو हिंदी
Main wo ek jins-e-giran hun sar-e-bazar ki bas | Shaahi Shayari
main wo ek jins-e-giran hun sar-e-bazar ki bas

Ghazal

Main wo ek jins-e-giran hun sar-e-bazar ki bas

Mubarak Shamim

;

main wo ek jins-e-giran hun sar-e-bazar ki bas
hath yun milte hain hasrat se KHaridar ki bas

aaj tak ahl-e-wafa se na kisi ne puchha
aur jari rahe shughl-e-rasan-o-dar ki bas

chilchilati hui ye dhup ye tapte maidan
aur idhar hausla-e-dil ka wo israr ki bas

aa gaya yazdan ko taras aaKHir kar
itna sharminda-o-nadim tha gunahgar ki bas

shiddat-e-shauq mein had se na guzar jae kahin
koi kar de dil-e-nadan ko KHabar-dar ki bas

ji yahi kahta hai ab chal ke wahin ja Thahro
hum ne viranon mein dekhe hain wo aasar ki bas

daulat-e-aish mila karti hai na-danon ko
ahl-e-idrak jiya karte hain yun KHwar ki bas

chup hi is daur mein rahiye to munasib hai 'shamim'
kan yun rakhte hain warna dar-o-diwar ki bas