اردو हिंदी
Main wo dariya hun chaDha ho jo utarne ke liye | Shaahi Shayari
main wo dariya hun chaDha ho jo utarne ke liye

Ghazal

Main wo dariya hun chaDha ho jo utarne ke liye

Maratib Akhtar

;

main wo dariya hun chaDha ho jo utarne ke liye
ji raha hun main yahan ham-zad marne ke liye

chae-KHane ki nashiston par jaridon ke waraq
peD se patte jhaDe uDne bikharne ke liye

ek main madd-e-muqabil wusat-e-afaq mein
aur sari taqaten gumrah karne ke liye

hafiza viran hone ke liye aabaad tha
nam kuchh honTon pe aae the bisarne ke liye

kar-KHanon ko chale amboh-dar-amboh log
jaanwar nikle charagahon mein charne ke liye

raushni mein KHauf ka ehsas tak hota nahin
kar diya hai off Teble-lamp Darne ke liye