main wahm hun ki haqiqat ye haal dekhne ko
giraft hota hun apna visal dekhne ko
charagh karta hun apna har ek azw-e-badan
taras gaya hun gham-e-la-zawal dekhne ko
ye aadmi hain ki patthar jawab dete nahin
chale hain koh-e-nida se sawal dekhne ko
na sher hain na sataish ajab zamana hai
kahin pe milta nahin ab kamal dekhne ko
main 'tur' aaKHiri saat ka ek manzar hun
wo aa raha hai mujhe be-misal dekhne ko
Ghazal
Main wahm hun ki haqiqat ye haal dekhne ko
Krishna Kumar Toor

