main use tujh se mila deta magar dil mere
mere kuchh kaam nahin aae wasail mere
wo junun-KHez masafat thi ki dekha hi nahin
umr bhar panw se lipTi rahi manzil mere
tu mila hai to nikal aae hain dushman sare
waqt kis kis ko uTha laya muqabil mere
abr-e-girya ne wo tufan uThae ab ke
mere dariyaon ko kam paD gae sahil mere
jitna hal karta hun utna hi bigaD jate hain
tu nahin jaanta ai dost masail mere
ishq mein haar ke mani hi badal jate hain
tujh ko malum nahin hai abhi qatil mere
be-ant safar mera muqaddar hai 'salim'
mujh mein tai karta hai ye kaun marahil mere
Ghazal
Main use tujhse mila deta magar dil mere
Saleem Kausar