main use apne muqabil dekh kar ghabra gaya
ek sarapa mujh ko zanjiren nai pahna gaya
main to jal kar bujh chuka tha ek khanDar ki god mein
wo na jaane kyun mujhe hansta hua yaad aa gaya
main zamin ki wusaton mein sar se pa tak gharq tha
wo nazar ke samne ek aasman phaila gaya
soch ke dhagon mein lipTa mera apna jism tha
ek lamha mujh ko apni zat mein uljha gaya
main to shayad waqt ke sanche mein Dhal jata 'nisar'
koi mujh ko mawara ki dastan samjha gaya

Ghazal
Main use apne muqabil dekh kar ghabra gaya
Rasheed Nisar