main us maqam pe hun jis ko la-makan kahiye
zamin na kahiye use aur na aasman kahiye
faza-e-dil na moattar ho jis se ai hamdam
na bostan use kahiye na gulistan kahiye
visal-e-yar mayassar na ho to kya gham hai
KHayal-e-yar to hai jis ko dil-sitan kahiye
rafiq jitne the apne wo uTh gae sare
hai kaun bazm mein ab jis ko raazdan kahiye
chaman mein rah ke bhi 'qaisar' mujhe nahin malum
bahaar kahiye use ya use KHizan kahiye

Ghazal
Main us maqam pe hun jis ko la-makan kahiye
Qaisar Usmani