main us ki baat ki tardid karne wala tha
ek aur hadsa mujh par guzarne wala tha
kahin se aa gaya ek abr darmiyan warna
mere badan mein ye suraj utarne wala tha
mujhe sambhaal liya teri ek aahaT ne
sukut-e-shab ki tarah main bikharne wala tha
ajib lamha-e-kamzor se main guzra hun
tamam silsila pal mein bikharne wala tha
main laDkhaDa sa gaya saya-e-shajar mein zarur
main raste mein magar kab Thaharne wala tha
ab aasman bhi baDa shant hai zamin bhi sukhi
guzar gaya hai jo hum par guzarne wala tha
laga jo piTh mein aa kar wo tir tha kis ka
main dushmanon ki safon mein na marne wala tha
Ghazal
Main uski baat ki tardid karne wala tha
Rajinder Manchanda Bani