main us ki baat ke lahje ka e'tibar karun
karun ki us ka na main aaj intizar karun
main sirf saya hun apna magar ye zid hai mujhe
ki apne-ap ko KHud se alag shumar karun
ajab mizaj hai us ka bhi chahta hai ki main
ba-taur-e-waza faqat KHud ko iKHtiyar karun
main ek athah samundar hun is KHayal mein gharq
ki Dub jaun main KHud mein ki KHud ko par karun
KHud apne-ap se milne ke waste pahle
main apne-ap ko dariya se aabshaar karun
main us ki dhup hun jo mera aaftab nahin
ye baat KHud pe main kis tarah aashkar karun
kisi qadim kahani mein ek muddat se
wo so raha hai ki main us ko hoshiyar karun
phir ek aas ki chilman se umr bhar lag ke
KHud apne panw ki aahaT ka intizar karun
Ghazal
Main uski baat ke lahje ka etibar karun
Aziz Bano Darab Wafa