main us ki aankh mein wo mere dil ki sair mein tha
wo apne shahr mein aur main dayar-e-ghair mein tha
hum apne ghar se bahut dur ja ke lauT aae
kisi ki aankh ka kanTa hamare pair mein tha
mila to ashk-e-nadamat ki tah mein us ka suragh
kisi ke dil mein na kabe mein tha na dair mein tha
main jaanta hun liya ja raha tha mera nam
main dushmanon ki tarah us ke zikr-e-KHair mein tha
na jaane kaise masail the apne rishton mein
sukun sulh ke aalam mein tha na bair mein tha
ye aur baat ki wo sab se pahle Dub gaya
tumhaara 'taj' bhi KHud-agahi ki tair mein tha
Ghazal
Main uski aankh mein wo mere dil ki sair mein tha
Husain Taj Rizvi