main umar ke raste mein chup-chap bikhar jata
ek din bhi agar apni tanhai se Dar jata
main tark-e-talluq par zinda hun so mujrim hun
kash us ke liye jita apne liye mar jata
us raat koi KHushbu qurbat mein nahin jagi
main warna sanwar jata aur wo bhi nikhar jata
us jaan-e-takallum ko tum mujh se to milwate
tasKHir na kar pata hairan to kar jata
kal samne manzil thi pichhe meri aawazen
chalta to bichhaD jata rukta to safar jata
main shahr ki raunaq mein gum ho ke bahut KHush tha
ek sham bacha leta ek rose to ghar jata
mahrum fazaon mein mayus nazaron mein
tum 'azm' nahin Thahre main kaise Thahar jata
Ghazal
Main umar ke raste mein chup-chap bikhar jata
Azm Bahzad