main tum ko pujta raha jab tak KHudi mein tha
apna mila suragh mujhe be-KHudi ke baad
kya rasm-e-ehtiyat bhi duniya se uTh gai
ye sochna paDa mujhe teri hansi ke baad
ghabra ke mar na jaiye marne se faeda
ek aur zindagi bhi hai is zindagi ke baad
aae hain is jahan mein to jaana zarur hai
koi kisi se pahle to koi kisi ke baad
ai abr-e-nau-bahaar Thahar pi raha hun main
jaana baras ke KHub meri mai-kashi ke baad
marte the jis pe hum wo faqat husn hi na tha
ye raaz hum pe aaj khula aashiqi ke baad
ai mausam-e-bahaar Thahar aa raha hun main
daman-e-chaak-chaak ki baKHiya-gari ke baad
Ghazal
Main tumko pujta raha jab tak KHudi mein tha
Meer Yaseen Ali khan