main tum ko bhul bhi sakta hun is jahan ke liye
zara sa jhuT zarur hai dastan ke liye
mere labon pe koi bund Tapki aansu ki
ye qatra kafi tha jalte hue makan ke liye
main kya dikhaun mere tar tar daman mein
na kuchh yahan ke liye hai na kuchh wahan ke liye
ghazal bhi is tarah us ke huzur laya hun
ki jaise bachcha koi aae imtihan ke liye
Ghazal
Main tumko bhul bhi sakta hun is jahan ke liye
Bashir Badr