اردو हिंदी
Main tujhe bhulna chahun bhi to na-mumkin hai | Shaahi Shayari
main tujhe bhulna chahun bhi to na-mumkin hai

Ghazal

Main tujhe bhulna chahun bhi to na-mumkin hai

Athar Nasik

;

main tujhe bhulna chahun bhi to na-mumkin hai
tu meri pahli mohabbat hai mera mohsin hai

main use subh na jaanun jo tere sang nahin
main use sham na manun ki jo tere bin hai

kaisa manzar hai tere hijr ke pas-e-manzar ka
reg-e-sahra hai rawan aur hawa sakin hai

teri aankhon se tere hathon se lagta to nahin
mere ahbab ye kahte hain ki to kamsin hai

abhi kuchh der mein ho jaega aangan jal-thal
abhi aaghaz hai barish ka abhi kin-min hai

ain mumkin hai ki kal waqt faqat mera ho
aaj muTThi mein ye aaya hua pahla din hai

aaj ka din to bahut KHair se guzra 'nasik'
kal ki kyun fikr karun kal ka KHuda zamin hai