main tujh se lakh bichhaD kar yahan wahan jata
meri jabin se sajdon ka kab nishan jata
zamin mujh ko samajhti na aasman koi
gunahgar hi kahlata main jahan jata
nasib se to mile the faqat ye KHali hath
faraKH-dil wo na hota to main kahan jata
mujhe KHabar na thi is ghar mein kitne kamre hain
main kaise le ke wahan sari dastan jata
main ek gunj ki manind lauTta us tak
jahan se mujh ko bulata main bas wahan jata

Ghazal
Main tujhse lakh bichhaD kar yahan wahan jata
Salman Akhtar