اردو हिंदी
Main to samjha tha jis waqt mujhko wo milenge to jannat milegi | Shaahi Shayari
main to samjha tha jis waqt mujhko wo milenge to jannat milegi

Ghazal

Main to samjha tha jis waqt mujhko wo milenge to jannat milegi

Anwar Mirzapuri

;

main to samjha tha jis waqt mujh ko wo milenge to jannat milegi
kya KHabar thi rah-e-ashiqi mein sath un ke qayamat milegi

main nahin jaanta tha ki mujh ko ye mohabbat ki qimat milegi
aansuon ka KHazana milega chaak daman ki daulat milegi

phul samjhe na the zindagani is qadar KHub-surat milegi
ashk ban kar tabassum milega dard ban kar masarrat milegi

meri ruswaiyon pe na KHush ho meri diwangi ko dua do
tum ko jitni bhi shohrat milegi sirf meri badaulat milegi

dil hamara na toDo KHuda-ra warna kho doge apna sahaara
zarre zarre mein is aaine ke tum ko apni hi surat milegi

un ke ruKH se naqab aaj uThegi ab nazaron ki meraj hogi
ek muddat se aaj ahl-e-gham ko muskurane ki mohlat milegi

kaise sabit-qadam wo rahega us ki tauba ka kya haal hoga
jis ko sunte hain shaiKH-e-haram se mai-kashi ki ijazat milegi