main to kahta hun tumhi dard ke darman ho zarur
aur wo kahte hain ki tum aaj pareshan ho zarur
chaman-e-shahr to viran tha magar is ghar mein
itni nikhat hai ki tum ek gulistan ho zarur
mujh ko dikhlao na apni ye ada-e-jalwa
chalo taslim ki tum mujh mein bhi pinhan ho zarur
main ki aawara-tarab-kosh sharabi lekin
tum ki muKHlis ho meri zat pe nazan ho zarur
nazm-o-afsana likhun chup rahun ya baat karun
tum ba-har-rang magar mujh mein numayan ho zarur
warna kyun aankh mein aansu hun ba-waqt-e-dushnam
dushmano tum bhi meri zist ke KHwahan ho zarur
doston mein to koi tum ko na puchhega 'salam'
azmat-e-raushni-e-bazm-e-harifan ho zarur
Ghazal
Main to kahta hun tumhi dard ke darman ho zarur
Salam Machhli shahri