main to ek lamha-e-parida raha
jaane kyun wo bahut kashida raha
ru-ba-ru zikr-e-na-shunida raha
uTh gaya to mera qasida raha
main bhi banda hi tha KHuda ki qasam
ye alag hai ki barguzida raha
aur to koi gham na tha us ko
bas meri chah mein tapida raha
shab ki peshani ka main jhumar tha
kya hua gar hawa-guzida raha
mere hisse mein us sahife ka
ek waraq tha wahi darida raha
koi ummid bar na aati thi
zindagi bhar sitam-rasida raha
Ghazal
Main to ek lamha-e-parida raha
Ali Abbas Ummeed