main to har lamha badalte hue mausam mein rahun
koi taswir nahin jo tere albam mein rahun
ghar jo aabaad kiya hai to ye socha main ne
tujh ko jannat mein rakhun aap jahannam mein rahun
tu agar sath na jae to bahut dur kahin
din ko suraj ke tale raat ko shabnam mein rahun
ji mein aata hai kisi roz akela pa kar
main tujhe qatl karun phir tere matam mein rahun
Ghazal
Main to har lamha badalte hue mausam mein rahun
Rais Farogh

