main to chup tha magar us ne bhi sunane na diya
gham-e-duniya ka koi zikr tak aane na diya
us ka zahraba-e-paikar hai meri rag rag mein
us ki yaadon ne magar hath lagane na diya
us ne duri ki bhi had khinch rakhi hai goya
kuchh KHayalat se aage mujhe jaane na diya
baadban apne safine ka zara si lete
waqt itna bhi zamane ki hawa ne na diya
wahi inam zamane se jise milna tha
log masum hain kahte hain KHuda ne na diya
koi fariyaad kare gunj mere dil se uThe
mauqa-e-dard kabhi hath se jaane na diya
'shaz' ek dard se sau dard ke rishte nikle
kin masaib ne use ji se bhulane na diya
Ghazal
Main to chup tha magar usne bhi sunane na diya
Shaz Tamkanat