main to aisa koi manzar kabhi dekha na tha
din Dhala jata tha aur saya koi lamba na tha
phir to us ke samne jaise koi rasta na tha
jitne wala kabhi yun hausla haara na tha
log to kahte the lekin main bhi to andha na tha
main ne KHud dekha hai mere dhaD pe bhi chehra na tha
rokna chaha tha main ne wo bhi ruk jata magar
ek jhonka tha hawa ka wo Thahar sakta na tha
kitne hi kachche ghaDe lahron ko yaad aane lage
sahilon ke honTon par aisa koi nauha na tha
god mein maon ki bachche raat-bhar rote rahe
pas poton waliyon ke kya koi qissa na tha

Ghazal
Main to aisa koi manzar kabhi dekha na tha
Sheen Kaaf Nizam